Friday 24 August 2012

EK Raaaaz Tumhare Dil Me Hai......

Ek Raaz tumhare dil me hai,
Ek Raaz humare dil me hai,
Kyon aaj teri har saanson ka......har Saaz humare dil me hai,
Ek Raaz tumhare dil me hai,
Ek Raaz humare dil me hai....!!!!

har khwab me tum milte the mujhse,
fir nazar jhukaye rahte the,
aur baat kabhi jo karna chahun,
to khud chhup jaya karte the,
ab teri har manzil ka........Aaghaz humare dil me hai,
Ek Raaz tumhare dil me hai,
Ek Raaz humare dil me hai.....!!!!

tum dil hi dil me marte the,
izhaar na hum se karte the,
un sard andheri raaton me,
kuchh ashq wahaya karte the,
aur kabhi kuchh puchhon tumse,
to khud chup ho jaya karte the,
ab teri us khamoshi ka..........har Alfaaz humare dil me hai,
Ek Raaz tumhare dil me hai,
Ek Raaz humare dil me hai....!!!!

Sunday 1 April 2012

Emp. ID 498710...


Main emp id no. 498710,
aksar TCS ki khidki se bahar dekhta hun,
Dopahar ko saam aur saam ko raat hote hue dekhta hun,
yahan ki canteen ke DOSEE me mujhe Hyderabad ki khusboo aati hai,
TCS ki ye building mujhe ILP ki yaad dilati hai,
Kyn break me mujhe apne doston ki kami satati hai,
jinke khayalon me meri chai bhi thandi ho jati hai,
yahan ka TL kyn mujhe har kaam pe tokta hai,
kyn mujhe har break me wo bahar jaane se rokta hai,
wo kahta hai yahan ka mahaul bilkul ILP jaisa hai,
fir kyn mujhe ye waisa nai lagta,
wo kahta hai ki yahan ka har banda mere jaisa hai,
fir kyn mujhe wo mere jaise nai lagte,
main emp ld no. 498710,
aksar TCS ki khidki se bahar dekhta hun,
har associate ko ek compromising salary ke sath khus rahte hue dekhta hun,
kyn har student yahan kuch aur soch kar hi aata hai,
fir har sapna uska yahan ki bsy lyf me kahin kho jaata hai,
unko dekh ke mujhe fir se jeene ka man karta hai,
har sapna apna mujhe poora karne ka man karta hai,
main emp id no. 498710,
aksar TCS ki khidki se bahar dekhta hun....!

Dil mere tu kyun rota hai....


Jab jab gam ki rituen chhai,
yaad teri ye sath hai laayin,
aansu se palke bhar aayin,
ab har pal bus hai tanhai,
Maine jb pochha is dil se....
ae dil mere tu kyn rota hai ?
sath tere har baar hi kyn,
aisa gamgeen shama hota hai ?
kyn tu aise rahon me tanha tanha sa rahta hai ?
Har koi sath tere hai fir tu,
kiske khwabon me khota hai ?
Dil bola nadan hai tu,
ek pagal insaan hai tu,
Main to tera saaya hun,
darpan banke aaya hun,
main bola ruk thahar jara tu,
uljhan me jab rahta hai tu,
tab mujhko bhi chain na aaye,
raat ko jaage tu aksar,
aur neend meri fir kyn kho jaye ?
ye teri h galti hai,
main aise jo rehta hun,
pal pal bas wo rahe musukurati,
har pal usse kahta hun,
tabhi har ghadi ab mai uske,
gam saare hi sehta hun.....!

meri ILP....


Yahan naya sa sab kchh hai,
kchh naye naye chehre hain,
Har taraf purani yaadon ke,
kyn itne jyada pahre hain,
wo subah me ofc sath me jana,
fir bus me har pal gaane gana,
intzar me USKE aksar,
bus ka yuhi badalte jana :p
yuhin yaad hai mujhko wo sab,
ya batein wo kch khas hi thi,
kahan chhupa k rakhun unko,
yadein jo ehsas ki thi,
aksar main un yadon ki malayein piro kar rakhta hun,
aur yaad kabhi jb aye 2mhari to moti moti ginta hun...!
Har roz q-city me jake,
NSEP me kho jana,
fir coding karte karte aksar(not 4 me :p),
saam ko yuhin late se aana,
har roz cafeteria jake,
khana sirf dekhne jana,
fir lingampalli jake aksar,
nizam kitchen me chicken chutput khana,
yuhi yaad hai mujhko wo sab,
ya batein wo kuch khaas hi thi,
kahan chhupa ke rakhun unko,
yadein jo ahsaas ki thi,
aksar main un yadon ko ankhon me chhupa kar rakhta hun,
aur yaad kabhi jb aaye 2mhari,
to sapne me 2mhe bunta hun....!
monday tuesday karte karte,
aaye jb wo weknd suhana,
fir naye naye plan banakar,
har baar kisi trip pe jana,
sath me sabke masti karna,
aur auto me wo sor machana,
fir laut ke ayen manjeera to,
tt khel ke man bahlana,
doston ke sath batein karna,
fir chai ke khoke pe wo jana,
yuhin yaad hai mujhko wo sb,
ya batein wo kch khas hi thi,
kahan chhupa ke rakhon unko,
yadein jo ehsas ki thi,
aksar main un yadon ko saaki se bayan ab karta hun,
aur yaad kabhi jb aye 2mhari, to 2 jaam piya ab karta hun....!

Tere liye kuch kahun....


Sochta hun aaj ke tere liye kuch kahun,
2m jo do sath to har pal paas tere main rahun,
berang si panno me simat rahi hai ye zindagi,
2m jo ho paas to in panno me rang bharta main chaloon,
kabhi 2m samne aati ho,
kabhi ye dil dhadkati ho,
kabhi jo main milna chahun,
to yun najre churati ho,
kabhi jo paas 2m na ho,
to mujhko bada satati ho,
agar main paas aa jaon,
to fir kyn door jati ho,
nahi gar hun main 2mko aaj bh har saqhs se pyara,
to fir kyn aaj bh 2m mujhko itna hansati ho,
aur kabhi jo chhod dogi 2m jo mera sath,
soch kar ye 2mhari baat mujhe kyn itna rulati ho,
ab ye hasrat hai meri, tere har khwaab me rahun,
sochta hun aaj ke tere liye kuch kahun...!

Ek saam jo dekhi tanhai....


Ek saam jo dekhi tanhai,
to yaad usi ki kyn aayi,
pahle to mere sath h th,
har roz wo mere khwab me th,
ek pal main jo kchh khafa hua,
kyn door hui wo parchhai,
aur jo dekhi tanhai, to yaad usi ki kyn aayi,
pahle jb use satata tha,
tb dil uska bhar aata tha,
har baar main usko kyn itna,
un rahon me tadpata tha,
aaj jo thokar lagi mujhe,
to chot is dil pe hai khai,
aur jo dekhi tanhai to yaad usi ki kyn aayi,
pahle jb use manata tha,
tb dil uska muskata tha,
aur kabhi jo sath ho wo,
har lamha tham sa jaata tha,
fir hua achanak aisa kyn,
ye tanhai kyn mil si gai,
ye dil mera khamosh hua,
kuch itna ab wo badal gai,
jb raah me dekhu chehron ko,
har chehre me wo dikhlayi,
aur jo dekhi tanhai to yaad usi ki kyn aayi....!

Saturday 31 March 2012

Ek chehra........


Har roz yuhin in rahon me,1 chehra aksar dikhta tha,
wo mujhse anjani thi par, mera us se koi rishta tha,
har pal us se milne ki, 1 aas kiya karta tha,
aur jb wo milti thi to, har roz jiya karta tha,
kuch pal guzre,
kuch din beete,
kuch hua aisa yun mere sath,
jis chehre ko dekh jiya main, wo dikhti thi ab kisi aur ke sath,
use bhulane ki khatir main, na jane kya kya karta tha,
par ek bh pal main bhul na paya, har pal us pe marta tha,
kyn lagne lagte hain apne, kuch log hume 1 pal me hi,
jo ban jate hain sapne yun aane wale kal me hi,
main aaj bh us chehre ko dil me rakhe baitha hun,
aur apne toote sapne ko ummeed banake kahta hun...
K mat kar itna 2 pyar kisi se,
k uske bin na rah payega,
wo 1 hawa ka jhoka hai,
bs kch pal me kho jayega,
fir kahan dhundne baithega wo to hai 1 chhalawa,
kyn baithe ho ab tk is gam me jb aur bh gam hain, mohabbat ke alawa.